Recent

Learning English - 7 Days Me Angreji Likhna Bolna Kaise Sikhe? (Super Tips)

Angreji Likhna Bolna Kaise Sikhe

Learning English, English Sikhen: yah to ham sabhi jante Hain ki aaj ke daur mein har koi angreji bolna, likhna aur samajhna chahta hai.

Angreji bolne, likhne aur samjhne ki ahmiyat aaj ke Daur mein itni badhti ja rahi hai jiska hisab bhi nahi lagaya ja Sakta.

Iske liye bahut se log crash course join karte hain, bahut se log videos per nirbhar hote hain aur bahut se log to kitaben ya English movies tak ka Sahara lete hain.

Dekha jaaye to angreji ek bahut hi samanya Bhasha hai, aur ise sikhna koi mushkil Kam nahin hai agar aap thodi si mehnat karne ke liye taiyar hai to. Iske liye man mein bus ek junoon aur kuchh resources ka hona bahut hi avashyak hai.


Isiliye Aaj ham yahan janenge ki kis tarah ham kam samay mein angreji bolna aur likhna bahut hi aasani se aur bahut hi jald Sikh sakte hain. To aaiye Bina deri ke shuru karte hain aur jante Hain ki kam samay mein angreji bolna aur likhna Kaise sikhen.

Angreji Likhna Bolna Kaise Sikhe (Learning English, English Sikhen)

Learning English, English Sikhen: Ghar Ho ya office English bolna likhna aur samajh pana Har kisi ke liye ek jarurat ban chuka hai.

Aaj ke samay mein agar aapko apne doston se baat karni hai ya Facebook par naye dost banane hain to har cheez ke liye English bahut hi avashyak hai.

Read: Fluent English Kaise Bole aur Sikhe (Steps to Speak English Fluently)

Ine dinon English ek aisi Bhasha ban chuki hai jiska istemal school college se lekar office tak ke sabhi jaruri kamon mein kiya jata hai aur yah kehna ab galat nahin hoga ki ab angreji hamari second language ban chuki hai.



Halanki ham India mein rehte hain aur Bharat ki matrabhasha Hindi hai parantu Hindi matra bhasha hone ke bavjud bhi sabhi man baap apne bacchon ko angreji sikhane ke liye bahut zor dete Hain.

Agar aap man mein thaan le ki aapko angreji Bhasha ka expert banana hi hai to yah aapke liye koi mushkil Kam nahin hai. Angreji sikhna vaise to itna mushkil nahin hai per aapko thodi si mehnat aur ek nishchay karne ki jarurat hai ki han aap sikhana jarur chahte Hain.

Read: Business Ideas with Low Investment in Hindi (Best Tips)

In dinon English language sikhane ke liye bahut se online courses maujud hain unke alava bhi bahut se aise tarike hain jinse aap Ghar baithe bahut hi aasani se angreji bolna, likhna, padhna aur samajhna Sikh sakte hain.

Tips to Learn English - English Sikhne ke liye Tips

  1. Agar aap angreji bolna sikhna chahte Hain to aapko kam se kam 1000 shabd unki spelling aur meaning pata hone chahiye. Bina spellings aur meanings yaad kiye aap kabhi bhi angreji nahin Sikh sakte. Aur 1000 Shabd yaad karne ka sabse behtareen Tarika yah hai ki aap roj 5 naye shabd sikhe aur unhe ek diary mein likhen meaning aur spelling ke sath aur roj ka yah niyam banaa le ki aapko kisi bhi kimat per kisi bhi halat mein 5 shabdon ko to yaad karna hi hai spelling aur meanings ke sath.
  2. Angreji ki kuchh aisi kitaben khareed len jinmen kafi aasan Bhasha ka istemal Kiya gaya ho aur unhen padhakar aap apni vocabulary mein kafi sudhar la sakte hain. Ham sabhi jante Hain ki angreji English bhasha sikhane ke liye hamen bahut hi jarurat padti hai apni vocabulary ko majbut karne ki. Jitni acchi aur jitni jyada aapki vocabulary power hogi utani hi jyada aur utani hi achi aur fluent English aap bol payenge.
  3. Aapko chahiye ki jitna ho sake apne doston, apne parijanon aur colleagues ke sath English mein hi batchit Karen. Jab bhi aap office mein kam kar rahe ho ya doston ke sath ghumne firne jaaye Har samay aap koshish kijiye ki aap English mein hi baatchit karen. Aisa karne se aap mein confidence padega aur aap aasani se conversation karna Sikh jaenge vah bhi English mein. Jaise ki kaha jata hai ki practice makes the man perfect, isiliye jitna jyada aap practice karenge utani hi jyada English bahut acche se bolna Sikh payenge.
  4. Itna hi nahin English bolne aur samajhne ke liye use sunna bhi bahut hi jaruri hai aur bahut hi avashyak hai. Isiliye jitna ho sake aur jab bhi aapko samay mile English gane sune aur English movies bhi dekhen. Aapko hafte bhar mein hi fark mahsus hone lagega. Kyunki jitne jyada aap English gane sunenge ya jitni bar aap English movies dekhenge utani hi jyada English ke bahut acche lagne wale sentences dialogues aapke dimag mein baar baar chalne lagenge. Aur jitni jyada English ke sentences aur words aapke dimag mein baar baar lagatar chalenge utani hi jyada aapki English improve hone lagegi.
  5. Aapko chahiye ki roj English mein kam se kam ek article jarur likhen agar aap ek artical nahin likh sakte to kam se kam 2 se 3 paragraph jarur likhen. Aap khud ke liye ek target set kar lijiye aur use target ko pura karne ke liye hasil karne ki puri puri koshish kijiye. Aap Hindi to English translation bhi kar sakte hain akhbaar padh kar, jaise ki Punjab Kesari ya koi bhi Hindi ka akhbar. Koi bhi Hindi ka akhbar nikal lijiye aur koshish kijiye do se teen paragraph ko Hindi se English mein translate karne ki. Aisa karne se bhi aapki English bahut jyada improve hogi aur bahut hi jaldi improve hogi jitni zyada aap practice karenge utani hi jyada jaldi aap English bolna aur likhna sikh payenge.

Ghar par Angreji Kaise Sikhe 7 Days Mein

Doston yah the kuchh Kamal ke tarike jinhen apna kar aur jinki roj niyamit roop se aur puri imandari se practice karke aap angreji likhna aur bolna sikh sakte hain.

Mujhe umeed hai ki yah tips follow jarur karenge aur bahut hi jaldi, agar sahi tarike se practice roz karenge to keval 7 days mein hi angreji bolna sikh payenge. Agar aap bhi sochte aur khojte hain ki ghar par angreji kaise sikhe to upar batayi gayi tips ko follow zaroor karein aur ek diary zaroor bana lein.

Doston agar ab bhi aapke man mein koi sawal ho to kripya kar niche diye Gaye comment box mein comment karke humse poochh sakte hain.

Aur aapko hamara yah post "7 days mein angreji likhna bolna Kaise sikhe" kaisa laga kripya kar hamen niche diye Gaye comment box mein comment karke jarur bataen.

People

Ad Code

Responsive Advertisement